Anand Narayan Mulla

nazar KHamosh hui arz-e-na-tamam ke baad

Anand Narayan Mulla

Lucknow, Uttar pradesh, India

1901-1997
nazar ḳhamosh huī arz-e-nā-tamām ke ba.ad
kuchh aur kah na sake ashk-e-be-kalām ke ba.ad
ye muġhbache tire saaqī abhī haiñ ḳhīra bahut
har ek jām-e-tahī aur salā-e-ām ke ba.ad
bas itnī baat ke kyā kyā haiñ bazm meñ charche
vo muskurā se diye the mire salām ke ba.ad
namāz-e-jām paḌhī shaiḳh ne nahīñ lekin
ajab sā nuur hai ruḳh par tulū-e-shām ke ba.ad
har ik nazā.a kā hal intiqām hī hai abhī
magar savāl to ye hai ki intiqām ke ba.ad
ye lag rahā hai ki jaise bichhaḌ rahī hai hayāt
palaT palaT ke nigāheñ haiñ gaam gaam ke ba.ad
kisī mahal kisī vaadī kisī chaman meñ nahīñ
vo gul jo dil meñ mahaktā hai nek kaam ke ba.ad
ġhurūr-e-tishna-sāqī bhī hai koī shai saaqī
taqāzā ham nahīñ karne ke jaam jaam ke ba.ad
ye sach nahīñ ki mire dil meñ aur naam nahīñ
magar ye sach hai ki ye sab haiñ tere naam ke ba.ad
hai ziist ziist usī kī ki jis ke baazū ko
urūh-e-sub.h bhī DhūñDe nigār-e-shām ke ba.ad
badaltī qadroñ meñ kuchh huuñ ki kuchh nahīñ 'mullā'
savāliya sā nishāñ huuñ ḳhud apne naam ke ba.ad
Top Urdushayar.com