Anand Narayan Mulla

jahan ko abhi tab-e-ulfat nahin hai

Anand Narayan Mulla

Lucknow, Uttar pradesh, India

1901-1997
jahāñ ko abhī tāb-e-ulfat nahīñ hai
bashar meñ abhī ādamiyat nahīñ hai
takalluf agar hai haqīqat nahīñ hai
tasanño zabān-e-mohabbat nahīñ hai
zarūrī ho jis ke liye ek dozaḳh
vo mere tasavvur kī jannat nahīñ hai
mire dil meñ ik to hai tujh se hasīñ-tar
mujhe ab tirī kuchh zarūrat nahīñ hai
mohabbat yaqīnan ḳhilāf-e-ḳhirzad hai
magar aql hī ik haqīqat nahīñ hai
use ek betābī-e-shauq samjho
taġhāful kā shikva shikāyat nahīñ hai
mujhe kar ke chup koī kahtā hai hañs kar
unheñ baat karne kī aadat nahīñ hai
kabhī ho sakegā na 'mullā' kā īmāñ
jis īmāñ meñ dil kī nubuvvat nahīñ hai
Top Urdushayar.com