Anand Narayan Mulla

gham-e-insan se jo dil shoala-ba-jaan hota hai

Anand Narayan Mulla

Lucknow, Uttar pradesh, India

1901-1997
ġham-e-insāñ se jo dil sho.ala-ba-jāñ hotā hai
vahī har daur meñ memār-e-jahāñ hotā hai
dil meñ rahrav ke agar azm-e-javāñ hotā hai
gaam bhaTkā bhī to manzil kā nishāñ hotā hai
hoñT siine se sivā soz-e-nihāñ hotā hai
sho.ala detā hai to kuchh aur dhuāñ hotā hai
na.ara-e-haq ko dabāte haiñ khulī bazm meñ jab
ye kisī gosha-e-zindāñ meñ javāñ hotā hai
kaun patthar hai guhar kaun parakhne kī hai baat
dekhne hī se ye andāza kahāñ hotā hai
ishq meñ shukr-o-shikāyat meñ koī farq nahīñ
apnā apnā alag andāz-e-bayāñ hotā hai
maiñ bhī insāf kā ḳhvāhāñ huuñ magar ai mālik
terī duniyā meñ ab insāf kahāñ hotā hai
kaun sā hai ye mohabbat meñ maqām ai 'mullā'
kalma-e-lutf bhī ab dil pe garāñ hotā hai
Top Urdushayar.com