Anand Narayan Mulla

ilm-o-jah-o-zor-o-zar kuchh bhi na dekha jae hai

Anand Narayan Mulla

Lucknow, Uttar pradesh, India

1901-1997
ilm-o-jāh-o-zor-o-zar kuchh bhī na dekhā jaa.e hai
bazm-e-sāqī meñ diloñ kā zarf jāñchā jaa.e hai
koshisheñ haiñ dasht khiñch aa.e gulistāñ kī taraf
aur gulistāñ hai ki sū-e-dasht khiñchtā jaa.e hai
chashm-e-tar ik rah ga.ī hai yādgār-e-ahd-e-ishq
gaahe gaahe ye mirī rātoñ ko chamkā jaa.e hai
ho chuke haiñ ḳhushk sab ehsās ke sote magar
qalb-e-shā.ir hai jo thoḌī sī namī pā jaa.e hai
bol mīThe pyaar ke hoñToñ meñ yuuñ phañste haiñ aaj
tifl jaise ghar ke an-jānoñ meñ sharmā jaa.e hai
kuchh na kuchh nanhe se har taare kī lau detī hai aaj
go ba-zāhir us pe shab kī tīrgī chhā jaa.e hai
is taraf amn-o-baqā aur us taraf jañg-o-fanā
dekhiye ye kārvāñ kis samt 'mullā' jaa.e hai
Top Urdushayar.com