Anand Narayan Mulla

zindagi go kushta-e-alam hai

Anand Narayan Mulla

Lucknow, Uttar pradesh, India

1901-1997
zindagī go kushta-e-ālām hai
phir bhī rāhat kī ummīd-e-ḳhām hai
haañ abhī terī mohabbat ḳhaam hai
tere dil meñ kāvish-e-anjām hai
ishq hai maiñ huuñ dil-e-nākām hai
is ke aage bas ḳhudā kā naam hai
aa kahāñ hai tū fareb-e-ārzū
aaj nākāmī se lenā kaam hai
maiñ vahī huuñ dil vahī armāñ vahī
ek dhokā gardish-e-ayyām hai
apne jī meñ ye ki duniyā chhoḌ deñ
aur duniyā ko hamīñ se kaam hai
jal chuke chashm-e-a.izzā meñ charāġh
so bhī jā 'mullā' ki vaqt-e-shām hai
Top Urdushayar.com