Anand Narayan Mulla

jhijak izhaar-e-arman ki ba-asani nahin jati

Anand Narayan Mulla

Lucknow, Uttar pradesh, India

1901-1997
jhijak iz.hār-e-armāñ kī ba-āsānī nahīñ jaatī
ḳhud apne shauq kī dil se pashemānī nahīñ jaatī
taḌap shīshe ke TukḌe bhī uḌā lete haiñ hiire kī
mohabbat kī nazar jaldī se pahchānī nahīñ jaatī
ufuq par nuur rah jaatā hai sūraj Dūbne par bhī
ki dil bujh kar bhī nazroñ kī daraḳhshānī nahīñ jaatī
sū-e-dil aa ke ab chashm-e-karam bhī kyā banā legī
shuā-e-mehr se sahrā kī vīrānī nahīñ jaatī
ye bazm-e-dair-o-kāba hai nahīñ kuchh sehn-e-mai-ḳhāna
zarā āvāz gūñjī aur pahchānī nahīñ jaatī
kisī ke lutf-e-be-pāyāñ ne kuchh yuuñ sū-e-dil dekhā
ki ab nā-karda jurmoñ kī pashemānī nahīñ jaatī
taġhāful par na jā us ke taġhāful ek dhokā hai
nigāh-e-dost kī tahrīk-e-pinhānī nahīñ jaatī
nazar jhūTī shabāb andhā vo husn ik naqsh-e-fānī hai
haqīqat hai to ho lekin abhī maanī nahīñ jaatī
mayassar hai har ik īmāñ meñ mujh ko zauq kā sajda
koī maz.hab bhī ho buniyād-e-insānī nahīñ jaatī
nazar jis kī taraf kar ke nigāheñ pher lete ho
qayāmat tak phir us dil kī pareshānī nahīñ jaatī
na samjho zabt-e-girya se ḳhatā par maiñ nahīñ nādim
ki aañsū poñchh lene se pashemānī nahīñ jaatī
na poñchho tajrabāt-e-zindagānī choT lagtī hai
nazar ab dost aur dushman kī pahchānī nahīñ jaatī
zamāna karvaToñ par karvaTeñ letā hai aur 'mullā'
tirī ab tak vo ḳhvāb-āvar ġhazal-ḳhvānī nahīñ jaatī
Top Urdushayar.com