insān ke liye is duniyā meñ dushnām se bachnā mushkil hai
taqsīr se bachnā mumkin hai ilzām se bachnā mushkil hai
taa.ir ke liye dushvār nahīñ sayyād-o-qafas se duur rahe
lekin jo shakl-e-nasheman hai us daam se bachnā mushkil hai
dāman ko bachā bhī leñ shāyad sahrā ke nukīle kāñToñ se
gulshan ke magar gul-hā-e-sharar-andām se bachnā mushkil hai
is hādisa-gāh-e-hastī meñ Takrā.eñge do dil kuchh bhī karo
pariyoñ ke liye vo laakh uḌeñ gulfām se bachnā mushkil hai
auhām kī tārīkī to miTā sakte haiñ jalā kar sham.a-e-ḳhirad
lekin ḳhud aql ke zā.ida auhām se bachnā mushkil hai
ai arz-e-sahar ke rāh-ravo manzil pe pahuñchne se pahle
har qāfila jis ne luuT liyā us shaam se bachnā mushkil hai
kuchh qatra-e-mai uupar uupar phir dard hī dard andar andar
āġhāz-e-mohabbat ḳhuub magar anjām se bachnā mushkil hai
ik ḳhuuñ aur gosht ke insāñ kā ma.abūd tirī jannat kī qasam
hūroñ se churānā aañkh āsāñ asnām se bachnā mushkil hai
insān kī hai aulād agar vo 'mullā' ho yā aur koī
hañgām-e-javānī falsafa-e-'ḳhayām' se bachnā mushkil hai