chhup ke duniyā se savād-e-dil-e-ḳhāmosh meñ aa
aa yahāñ tū mirī tarsī huī āġhosh meñ aa
aur duniyā meñ kahīñ terā Thikāna hī nahīñ
ai mire dil kī tamannā lab-e-ḳhāmosh meñ aa
mai-e-rañgīñ pas-e-mīnā se ishāre kab tak
ek din sāġhar-e-rindān-e-balā-nosh meñ aa
ishq kartā hai to phir ishq kī tauhīn na kar
yā to behosh na ho ho to na phir hosh meñ aa
tū badal de na kahīñ jauhar-e-insāñ kā bhī rañg
ai zamāne ke lahū dekh na yuuñ josh meñ aa
dekh kyā daam lagātī hai nigāh-e-'mullā'
kabhī ai ġhuncha-e-tar dast-e-gul-afrosh meñ aa