rah-ravī hai na rahnumā.ī hai
aaj daur-e-shikasta-pā.ī hai
aql le aa.ī zindagī ko kahāñ
ishq-e-nādāñ tirī duhā.ī hai
hai ufuq dar ufuq rah-e-hastī
har rasā.ī meñ nā-rasā.ī hai
shikve kartā hai kyā dil-e-nākām
āshiqī kis ko raas aa.ī hai
ho ga.ī gum kahāñ sahar apnī
raat jā kar bhī raat aa.ī hai
jis meñ ehsās ho asīrī kā
vo rihā.ī koī rihā.ī hai
kārvāñ hai ḳhud apnī gard meñ gum
paañv kī ḳhaak sar pe aa.ī hai
ban ga.ī hai vo iltijā aañsū
jo nazar meñ samā na paa.ī hai
barq nāhaq chaman meñ hai badnām
aag phūloñ ne ḳhud lagā.ī hai
vo bhī chup haiñ ḳhamosh huuñ maiñ bhī
ek nāzuk sī baat aa.ī hai
aur karte hī kyā mohabbat meñ
jo paḌī dil pe vo uThā.ī hai
na.e saafī meñ ho na ālā.ish
yahī 'mullā' kī pārsā.ī hai