Anand Narayan Mulla

kyun na ho zikr mohabbat ka mare nam ke sath

Anand Narayan Mulla

Lucknow, Uttar pradesh, India

1901-1997
kyuuñ na ho zikr mohabbat kā mare naam ke saath
umr kaaTī hai isī dard-e-dil-ārām ke saath
mujh ko duniyā se nahīñ apnī tabāhī kā gilā
maiñ ne ḳhud saaz kiyā gardish-e-ayyām ke saath
ab vahī ziist meñ hai ye mire dil kā aalam
jaise kuchh chhūTtā jaatā hai har ik gaam ke saath
tujh se shikva nahīñ saaqī tirī sahbā ne magar
dushmanī koī nikālī hai mire jaam ke saath
jo kare fikr-e-rihā.ī vahī dushman Thahre
uns ho jaa.e na taa.ir ko kisī daam ke saath
ziist ke dard kā ehsās kabhī miT na sakā
sin ḳhushī ke bhī kaTe ik ġham-e-be-nām ke saath
man-e-taqsīr kahūñ dāvat-e-taqsīr kahūñ
nigah-e-narm bhī hai garmī-e-ilzām ke saath
apnī is aaj kī tāqat pe na yuuñ itrāo
mehr uTThā thā har ik sub.h-e-shab-anjām ke saath
maiñ tujhe bhuul chukā huuñ magar ab bhī ai dost
aatī jaatī hai nigāhoñ meñ chamak shaam ke saath
ab bhī kaafī hai ye har shor pe chhāne ke liye
koī ulfat kī azaañ de to tire naam ke saath
aa gayā ḳhatm pe sayyād tirā daur-e-fusūñ
ab to daana bhī nahīñ hai qafas-o-dām ke saath
kāḳh-o-aivāñ yahī guzre hue dauroñ ke na hoñ
gard sī aa.ī hai kuchh dāman-e-ayyām ke saath
maiñ tirā ho na sakā phir bhī mohabbat maiñ ne
jab bhī duniyā ko pukārā to tire naam ke saath
ḳhuld ujḌī hai to ab apne farishtoñ se basā
ham se kyā ham to nikāle ga.e ilzām ke saath
hujra-e-ḳhuld hai hūr-e-sharar-andām nahīñ
sāqiyā ātish-e-rañgīñ bhī zarā jaam ke saath
zikr-e-'mullā' bhī ab aatā to hai mahfil meñ magar
phīkī tārīf meñ lipTe hue dushnām ke saath
merī koshish hai ki sheroñ meñ samo duuñ 'mullā'
sub.h kā hosh bhī dīvāngī-e-shām ke saath
do kināroñ ke huuñ mābain meñ ik pal 'mullā'
rakhtā jaatā huuñ sutūñ ek har ik gaam ke saath
Top Urdushayar.com