Anand Narayan Mulla

hawa na-sazgar-e-gulsitan malum hoti hai

Anand Narayan Mulla

Lucknow, Uttar pradesh, India

1901-1997
havā nā-sāzgār-e-gulsitāñ ma.alūm hotī hai
agar hañstī bhī haiñ kaliyāñ fuġhāñ ma.alūm hotī haiñ
ḳhushī meñ apnī ḳhush-baḳhtī kahāñ ma.alūm hotī hai
qafas meñ jā ke qadr-e-āshiyāñ ma.alūm hotī hai
har ik ke zarf kī vus.at yahāñ ma.alūm hotī hai
mohabbat aadmī kā imtihāñ ma.alūm hotī hai
kabhī shāyad mohabbat kā koī hāsil nikal aa.e
abhī to rā.egāñ hī rā.egāñ ma.alūm hotī hai
ye dil ko kar diyā kaisā kisī kī kam-nigāhī ne
zarā sī phāñs chubhtī hai sināñ ma.alūm hotī hai
khiñch aatī haiñ isī sāhil pe ḳhud do ajnabī maujeñ
mohabbat ek jazb-e-be-amāñ ma.alūm hotī hai
ufuq hī par abhī tak haiñ tasavvur kī hasīñ shāmeñ
kahīñ Thahrī huī umr-e-ravāñ ma.alūm hotī haiñ
tum is hālat ko kyā jaano na jaano hī to achchhā hai
hañsī jab aa ke hoñToñ par fuġhāñ ma.alūm hotī hai
tirī be-mehriyāñ āḳhir vo nāzuk vaqt le aa.eñ
ki apnoñ kī mohabbat bhī garāñ ma.alūm hotī hai
nazar aatā nahīñ shabnam kā girnā phuul kā khilnā
mohabbat kī haqīqat nā-gahāñ ma.alūm hotī hai
chaman kā dard hai jis dil meñ to chāhe kahīñ uTThe
use apnī hī shāḳh-e-āshiyāñ ma.alūm hotī hai
nazar phirtī thī vo pahle bhī lekin yuuñ na phirtī thī
kuchh ab kī ḳhatm hotī dāstāñ ma.alūm hotī hai
abhī ḳhākistar-e-'mullā' se uThtā hai dhuāñ kuchh kuchh
kahīñ par koī chiñgārī tapāñ ma.alūm hotī hai
Top Urdushayar.com