Anand Narayan Mulla

har inqalab ki surKHi unhin ke afsane

Anand Narayan Mulla

Lucknow, Uttar pradesh, India

1901-1997
har inqalāb kī surḳhī unhīñ ke afsāne
hayāt-e-dahr kā hāsil haiñ chand dīvāne
ḳhuda-e-har-do-jahāñ ḳhuub hai tirī taqsīm
zamīñ pe dair-o-haram aur falak pe maiḳhāne
hamārī jā bhī kahīñ hai ḳhudā-e-dair-o-haram
haram meñ ġhair haiñ aur but-kade meñ begāne
na pūchh daur-e-haqīqat kī saḳhtiyoñ ko na pūchh
taras ga.e lab-e-afsāna-go ko afsāne
ye jabr zīst-e-mohabbat pe kab talak āḳhir
ki dil salām kareñ aur nazar na pahchāne
alag alag se ufuq par haiñ chhoTe chhoTe ġhubār
ye kārvāñ ko mire kyā huā ḳhudā jaane
nizām-e-maikada saaqī chalegā yuuñ kab tak
chhalak rahe haiñ subū aur tahī haiñ paimāne
Top Urdushayar.com