Anand Narayan Mulla

bhule se bhi lab par suKHan apna nahin aata

Anand Narayan Mulla

Lucknow, Uttar pradesh, India

1901-1997
bhūle se bhī lab par suḳhan apnā nahīñ aatā
haañ haañ mujhe duniyā meñ panapnā nahīñ aatā
dil ko sar-e-ulfat bhī hai rusvā.ī kā Dar bhī
us ko abhī is aañch meñ tapnā nahīñ aatā
ye ashk-e-musalsal haiñ mahaz ashk-e-musalsal
haañ naam tumhārā mujhe japnā nahīñ aatā
tum apne kaleje pe zarā haath to rakkho
kyuuñ ab bhī kahoge ki taḌapnā nahīñ aatā
mai-ḳhāne meñ kuchh pī chuke kuchh jām-ba-kaf haiñ
sāġhar nahīñ aatā hai to apnā nahīñ aatā
zāhid se ḳhatāoñ meñ to niklūñgā na kuchh kam
haañ mujh ko ḳhatāoñ pe panapnā nahīñ aatā
bhūle the unhīñ ke liye duniyā ko kabhī ham
ab yaad jinheñ naam bhī apnā nahīñ aatā
dukh jaatā hai jab dil to ubal paḌte haiñ aañsū
'mullā' ko dikhāne kā taḌapnā nahīñ aatā
Top Urdushayar.com