hijr kī shab ghaḌī ghaḌī dil se yahī savāl hai
jis ke ḳhayāl meñ huuñ gum us ko bhī kuchh ḳhayāl hai
hā.e-rī bebasī shauq-e-dil kā ajiib haal hai
us kā javāb sun chukā phir bhī vahī savāl hai
ḳhvāb-o-fusūñ nahīñ to kyā dil ye junūñ nahīñ to kyā
ḳhalvat-e-dost aur tū terā kahāñ ḳhayāl hai
maiñ tire dar ko chhoḌ duuñ shart-e-vafā ko toḌ duuñ
soñch ḳhud apne dil meñ tū kyā ye mirī majāl hai
sharm sī nazar dil kī hai uThtī nahīñ nigāh-e-shauq
ishq kī manziloñ meñ ik manzil-e-infi.āl hai
chāheñge gar to dil kī baat aap hī jaan leñge vo
muñh se kahūñ to kyā kahūñ shakl mirī savāl hai
baat unhīñ kī maan lī jaise maiñ hī ḳhatā pe thā
un ko kahīñ ye shak na ho dil meñ mire malāl hai
ab tirī justujū huī himmat-e-dil ke hasb-e-zauq
tū ne ye jab se kah diyā ye talab muhāl hai
sat.h-e-mazāq-e-bazm par 'mullā' utar ke aanā to
auroñ kā jo kamāl hai tere liye zavāl hai