Anand Narayan Mulla

nigah-o-dil ka afsana qarib-e-iKHtitam aaya

Anand Narayan Mulla

Lucknow, Uttar pradesh, India

1901-1997
nigāh-o-dil kā afsāna qarīb-e-iḳhtitām aayā
hameñ ab is se kyā aa.ī sahar yā vaqt-e-shām aayā
zabān-e-ishq par ik chīḳh ban kar terā naam aayā
ḳhirad kī manzileñ tai ho chukīñ dil kā maqām aayā
uThānā hai jo patthar rakh ke siine par vo gaam aayā
mohabbat meñ tirī tark-e-mohabbat kā maqām aayā
use aañsū na kah ik yād-e-ayyām-e-guzishta hai
mirī umr-e-ravāñ ko umr-e-rafta kā salām aayā
zarā lau aur dil kī tez kar siilā sā ye sho.ala
na raushan kar sakā ghar ko na mahfil hī ke kaam aayā
nizām-e-mai-kada saaqī badalne kī zarūrat hai
hazāroñ haiñ safeñ jin meñ na mai aa.ī na jaam aayā
abhī tak said-e-yazdāñ-o-sanam aulād-e-ādam hai
bashar insāñ nahīñ rahtā jahāñ īmāñ kā naam aayā
bahār aate hī ḳhūñ-rezī huī vo sehn-e-gulshan meñ
ḳhajil kāñTe the yuuñ phūloñ ko josh-e-intiqām aayā
bhulā.e ābla-pāoñ ko baiThe the chaman vaale
garajtī āñdhiyāñ aa.iiñ ki sahrā kā salām aayā
sahar kī huur ke kyā kyā ne dekhe ḳhvāb duniyā ne
magar ta.abīr jab DhūñDī vahī ifrīt-e-shām aayā
kabhī shāyad usī se rañg-e-firdaus-e-bashar paa.e
abhī tak to lahū insāñ kā shaitāñ hī ke kaam aayā
mukammal tabsira kartā huā ayyām-e-rafta par
nigāh-e-be-suḳhan meñ ek ashk-e-be-kalām aayā
tavānā ko bahāna chāhiye shāyad tashaddud kā
phir ik majbūr par shorīdgī kā ittihām aayā
na jaane kitnī sham.eñ gul huiiñ kitne bujhe taare
tab ik ḳhurshed itrātā huā bālā-e-bām aayā
barahman āb-e-gañgā shaiḳh kausar le uḌā is se
tire hoñToñ ko jab chhūtā huā 'mullā' kā jaam aayā
Top Urdushayar.com