Anand Narayan Mulla

gulshan hai isi ka nam agar hairan hun bayaban kya hoga

Anand Narayan Mulla

Lucknow, Uttar pradesh, India

1901-1997
gulshan hai isī kā naam agar hairāñ huuñ bayābāñ kyā hogā
hañgām-e-bahārāñ jab ye hai anjām-e-bahārāñ kyā hogā
saaqī ke dayār-e-rahmat meñ hindū-o-musalmāñ kyā hogā
is bazm-e-pāk-nihādāñ meñ ālūda-e-īmāñ kyā hogā
ye jañg to laḌnā hī hogī har barg se chāhe ḳhuuñ Tapke
kāñToñ se jo gul Dar jā.egā dārā-e-gulsitāñ kyā hogā
ulfat ko miTāne ke dar pe duniyā aur maiñ is soch meñ huuñ
ulfat na rahegī jab baaqī ḳhvāb-e-dil-e-insāñ kyā hogā
maiñ duur bhī tum se jī lūñgā tum mere liye kuchh ġham na karo
maanā ki pareshāñ dil hogā aisā bhī pareshāñ kyā hogā
jis haath meñ hai shamshīr-o-tīr kyā us se umīd-e-barg-o-samar
jo shāḳh-e-nasheman toḌegā memār-e-gulistāñ kyā hogā
kis shai pe abhī ham jashn kareñ har-sū kāñTe kūḌā-karkaT
kuchh rañg-e-chaman aa.e to sahī ghūre pe charāġhāñ kyā hogā
jo tishna-laboñ ke haq ke liye saaqī se laḌe vo riñd kahāñ
jo dast-o-dahāñ kā ḳhūgar hai vo dast-o-garebāñ kyā hogā
saaqī kī ġhulāmī kar legā aur vo bhī kuchh qatroñ ke liye
nādān sahī mullā lekin itnā bhī vo nādāñ kyā hogā
āvāz-e-zamīr apnī sun kar 'mullā' ne banā lī rāh-e-amal
ye fikr kabhī us ko na huī andāz-e-harīfāñ kyā hogā
Top Urdushayar.com