Anand Narayan Mulla

aarzu ko dil hi dil mein ghuT ke rahna aa gaya

Anand Narayan Mulla

Lucknow, Uttar pradesh, India

1901-1997
aarzū ko dil hī dil meñ ghuT ke rahnā aa gayā
aur vo ye samjhe ki mujh ko rañj sahnā aa gayā
poñchhtā koī nahīñ ab mujh se merā hāl-e-dil
shāyad apnā hāl-e-dil ab mujh ko kahnā aa gayā
sab kī suntā jā rahā huuñ aur kuchh kahtā nahīñ
vo zabāñ huuñ ab jise dāñtoñ meñ rahnā aa gayā
zindagī se kyā laḌeñ jab koī bhī apnā nahīñ
ho ke shal dhāre ke ruḳh par ham ko bahnā aa gayā
laakh parde iztirāb-e-shauq par Daale magar
phir vo ik machlā huā aañsū barahnā aa gayā
tujh ko apnā hī liyā āḳhir nigār-e-ishq ne
ai urūs-e-chashm le motī kā gahnā aa gayā
pī ke aañsū sī ke lab baiThā huuñ yuuñ is bazm meñ
dar-haqīqat jaise mujh ko rañj sahnā aa gayā
ek nā-shukre chaman ko rañg-o-bū detā rahā
aa gayā haañ aa gayā kāñToñ meñ rahnā aa gayā
lab pe naġhma aur ruḳh par ik tabassum kī naqāb
apne dil kā dard ab 'mullā' ko kahnā aa gayā
Top Urdushayar.com