ruḳh apnā aa.ina mujh ko banā ke dekh liyā
mirī nigāh ke parde meñ aa ke dekh liyā
jo dost the unheñ dushman banā ke dekh liyā
zabāñ pe dil kī tamannā ko lā ke dekh liyā
haqīqat-e-ġham-e-hastī ke naqsh miT na sake
tilism-ḳhāna-e-armāñ banā ke dekh liyā
vo be-ḳhabar mire soz-e-jigar se phir bhī nahīñ
har ik nigāh pe parda girā ke dekh liyā
unheñ qubūl nahīñ ishq-e-rā.egāñ apnā
qadam qadam pe nigāheñ bichhā ke dekh liyā
ab aur is se sivā chāhte ho kyā 'mullā'
ye kam hai us ne tumheñ muskurā ke dekh liyā