ab apne dīda-o-dil kā bhī e'tibār nahīñ
usī ko pyaar kiyā jis ke dil meñ pyaar nahīñ
nahīñ ki mujh ko tabī.at pe iḳhtiyār nahīñ
har ik jaam se pī luuñ vo bāda-ḳhvār nahīñ
har ek gaam pe kāñToñ kī haiñ kamīñ-gāheñ
shabāb aah shagūfoñ kī rahguzār nahīñ
bharī huī hai vo kām-o-dahan meñ talḳhī-e-zīst
ki lab pe jām-e-mohabbat bhī ḳhush-gavār nahīñ
na mere ashkoñ se dāman pe tere aa.egī aañch
ye sho.ala-rū haiñ magar fitrat-e-sharār nahīñ
kahīñ chhupā.e se chhuptī bhī hai haqīqat-e-ġham
vo ġham hī kyā jo masarrat se āshkār nahīñ
maiñ terī yaad se bahkā chukā huuñ yuuñ dil ko
ki ab mujhe tirī furqat bhī nāgavār nahīñ
mire sukūñ ke liye kyuuñ ye koshish-e-paiham
qarār chhīnñe vaale tujhe qarār nahīñ
jahān-e-aql ke nafrat-kadoñ meñ baT jaatā
hazār shukr mohabbat pe iḳhtiyār nahīñ
kisī kī luuT ke rāhat ḳhushī nahīñ miltī
ḳhizāñ ke haath meñ sarmāya-e-bahār nahīñ
nigāh-e-dost ko is kī bhī hai ḳhabar lekin
vo raaz jis kā abhī dil bhī rāzdār nahīñ
tavajja-e-nigah-e-yār kā sabab ma.alūm
dil-e-girafta-e-'mullā' abhī shikār nahīñ