Anand Narayan Mulla

qahr ki kyun nigah hai pyare

Anand Narayan Mulla

Lucknow, Uttar pradesh, India

1901-1997
qahr kī kyuuñ nigāh hai pyāre
kyā mohabbat gunāh hai pyāre
dil ko apnī hī jalva-gāh samajh
aa nazar farsh-e-rāh hai pyāre
pher lī tū ne jab se apnī nazar
merī duniyā siyāh hai pyāre
shak bhī kis par mirī mohabbat par
jis kā tū ḳhud gavāh hai pyāre
terī māsūm sī nazar kī qasam
yahī vaj.h-e-gunāh hai pyāre
do nigāheñ jahāñ pe mil jaa.eñ
ishq kī shāh-rāh hai pyāre
muñh jo sī detī thī shikāyat kā
ab kidhar vo nigāh hai pyāre
jo ba-zāhir nahīñ mirī jānib
vo nazar be-panāh hai pyāre
sach batā kuchh ḳhafā hai tū mujh se
yā hayā sadd-e-rāh hai pyāre
ajnabī ban rahī hai terī nazar
ḳhatm kyā rasm o raah hai pyāre
rāh-e-ulfat meñ Thaharnā kaisā
dam bhī lenā gunāh hai pyāre
dil sī shai aur nā-pasand tujhe
apnī apnī nigāh hai pyāre
nek irādoñ ke sañg-rezoñ par
shāh-rāh-e-gunāh hai pyāre
lab pe aatī hai jo hañsī ban kar
ek aisī bhī aah hai pyāre
ishq meñ vo bhī ek vaqt hai jab
be-gunāhī gunāh hai pyāre
aur 'mullā' ko kyā miTāte ho
vo to yūñhī tabāh hai pyāre
Top Urdushayar.com