Anand Narayan Mulla

falak ke na in mah-paron ko dekho

Anand Narayan Mulla

Lucknow, Uttar pradesh, India

1901-1997
falak ke na in māh-pāroñ ko dekho
jo miTTī meñ haiñ un sitāroñ ko dekho
kabhī kārvāñ bhī numūdār hogā
nigāheñ jamā.e ġhubāroñ ko dekho
nikal kar kabhī sahr-e-sūd-o-ziyāñ se
mohabbat ke ujḌe dayāroñ ko dekho
chaman meñ ye kis chaal se chal rahe ho
na phūloñ ko dekho na ḳhāroñ ko dekho
zabāñ husn kī mo'atabar kab huī hai
kināyoñ ko samjho ishāroñ ko dekho
musalleh qatāreñ idhar bhī udhar bhī
zarā amn kī rāh-guzāroñ ko dekho
chaman kī ḳhizāñ par na aañsū bahāo
nazar hai to kal kī bahāroñ ko dekho
na dekho daraḳhtoñ kī duurī chaman meñ
lipaTtī huī shāḳh-sāroñ ko dekho
zarā jhāñk kar ġhurfa-e-mai-kada se
taraste laboñ kī qatāroñ ko dekho
kisī ke sitam ko bhī samajhte tavajjoh
are in taġhāful ke māroñ ko dekho
vo daur-e-hayāt-e-jahāñ aa gayā hai
bhañvar meñ raho aur kināroñ ko dekho
baḌho aur hāthoñ kā ik pal banā lo
kināroñ se kab tak savāroñ ko dekho
binā-e-baqā dhamkīyoñ par fanā kī
na.e jag ke parvardigāroñ ko dekho
kabhī nām-e-'mullā' na aayā zabāñ tak
ye duniyā hai 'mullā' ke yāroñ ko dekho
Top Urdushayar.com