farq jo kuchh hai vo mutrib meñ hai aur saaz meñ hai
varna naġhma vahī har parda-e-āvāz meñ hai
tarjumān-e-ġham-e-dil kaun hai ashkoñ ke sivā
ik yahī tār-e-shikasta to mire saaz meñ hai
murġh-e-āzād asīroñ ko hiqārat se na dekh
in kī tāqat bhī tire bāzū-e-parvāz meñ hai
ek le de ke tamannā hai so vo bhī nākām
dil meñ kyā hai jo tirī jalva-gah-e-nāz meñ hai
dil ko dīvāna samajh kar na bahut chheḌo tum
kahīñ kuchh kah na uThe ye haram-e-rāz meñ hai