Anand Narayan Mulla

jaan-e-afsana yahi kuchh bhi ho afsane ka nam

Anand Narayan Mulla

Lucknow, Uttar pradesh, India

1901-1997
jān-e-afsāna yahī kuchh bhī ho afsāne kā naam
zindagī hai dil kī dhaḌkan tez ho jaane kā naam
qatra qatra zindagī ke zahr kā piinā hai ġham
aur ḳhushī hai do ghaḌī pī kar bahak jaane kā naam
aaj tū kal koī aur hogā sadr-e-bazm-e-mai
sāqiyā tujh se nahīñ ham se hai mai-ḳhāne kā naam
intizār-e-fasl-e-gul meñ kho chuke āñkhoñ kā nuur
aur bahār-e-bāġh letī hī nahīñ aane kā naam
tāb-e-nākāmī nahīñ to aarzū kartā hai kyā
sāqiyā tujh se nahīñ ham se hai mai-ḳhāne kā naam
vāqif-e-'mullā' na thī bazm-e-ḳhirad ye tai huā
ho na ho ye hai kisī mash.hūr dīvāne kā naam
Top Urdushayar.com