sar-e-mahshar yahī pūchhūñgā ḳhudā se pahle
tū ne rokā bhī thā bande ko ḳhatā se pahle
ashk āñkhoñ meñ haiñ hoñToñ pe bukā se pahle
qāfila ġham kā chalā bāñg-e-darā se pahle
haañ yahī dil jo kisī kā hai ab ā.īna-e-husn
varaq-e-sāda thā ulfat kī jilā se pahle
ibtidā hī se na de ziist mujhe dars is kā
aur bhī baab to haiñ bāb-e-razā se pahle
maiñ girā ḳhaak pe lekin kabhī tum ne sochā
mujh pe kyā biit ga.ī laġhzish-e-pā se pahle
ashk aate to the lekin ye chamak aur taḌap
in meñ kab thī ġham-e-ulfat kī jilā se pahle
dar-e-mai-ḳhāna se aatī hai sadā-e-sāqī
aaj sairāb kiye jā.eñge pyāse pahle
rāz-e-mai-noshi-e-'mullā' huā ifshā varna
samjhā jaatā thā valī laġhzish-e-pā se pahle