Anand Narayan Mulla

zist hai ek masiyat soz-e-dili tere baghair

Anand Narayan Mulla

Lucknow, Uttar pradesh, India

1901-1997
ziist hai ik ma.asiyat soz-e-dilī tere baġhair
haañ mohabbat bhī hai ik ālūdgī tere baġhair
shām-e-ġham tere tasavvur hī se āñkhoñ meñ charāġh
varna mere ghar meñ ho aur raushnī tere baġhair
ye jahāñ tanhā bhalā kyā mujh ko de paatā shikast
maiñ ne kab khāyā fareb-e-dostī tere baġhair
raat ke siina meñ hai ik zaḳhm jis kā naam chāñd
ik sunahrī jū-e-ḳhūñ hai chāñdnī tere baġhair
har-nafas hai pai-ba-pai nākāmiyoñ kā sāmnā
ziist hai ik mustaqil sharmindagī tere baġhair
de ga.ī dhokā magar shā.istagī-e-ġham mirī
aa rahā hai dil pe ilzām-e-ḳhushī tere baġhair
ilm-o-aql-o-nām-o-jāh-o-zor-o-zar sab hech ishq
ho ke sab kuchh bhī nahīñ kuchh aadmī tere baġhair
dil kī shādābī kī zāmin hai tū hī ai yād-e-dost
aa na paa.ī ġham ke phūloñ meñ namī tere baġhair
ek ik lamhe meñ jab sadiyoñ kī sadiyāñ kaT ga.iiñ
aisī kuchh rāteñ bhī guzrī haiñ mirī tere baġhair
zindagī 'mullā' kī hai mahjūb nām-e-zindagī
rah ga.ī hai shā.irī hī shā.irī tere baġhair
Top Urdushayar.com