Anand Narayan Mulla

meri baaton pe duniya ki hansi kam hoti jati hai

Anand Narayan Mulla

Lucknow, Uttar pradesh, India

1901-1997
mirī bātoñ pe duniyā kī hañsī kam hotī jaatī hai
mirī dīvāngī shāyad musallam hotī jaatī hai
tavajjoh kī nazar merī taraf kam hotī jaatī hai
maiñ ḳhush huuñ ishq kī buniyād mohkam hotī jaatī hai
zarūrat kuchh bhī kahne kī bahut kam hotī jaatī hai
mirī sūrat hī ab shauq-e-mujassam hotī jaatī hai
kabhī tū ne pukārā thā mujhe kuchh shak sā hotā hai
mire kānoñ meñ ik āvāz paiham hotī jaatī hai
mujhe samjhāne aa.e haiñ ki maiñ rone se baaz aa.uuñ
mire samjhāne vāloñ kī nazar nam hotī jaatī hai
abhī sun lo to shāyad sun sako tum dil ke naġhmoñ ko
ki ab us kī sadā kuchh ḳhud-ba-ḳhud kam hotī jaatī hai
vahī dil hai magar ab vo nahīñ aglī sī betābī
vahī ḳhuuñ hai magar raftār maddham hotī jaatī hai
tujhe maz.hab miTānā hī paḌegā rū-e-hastī se
tire hāthoñ bahut tauhīn-e-ādam hotī jaatī hai
nashāt-e-zīst kī zāmin hai ab yād-e-mohabbat hī
yahī ḳhud ishq ke zaḳhmoñ kā marham hotī jaatī hai
mohabbat hī se kholo tum dil-e-'mullā' kā darvāza
yahī is ke liye ab ism-e-āzam hotī jaatī hai
Top Urdushayar.com