kaam ishq-e-be-savāl aa hī gayā
ḳhud-ba-ḳhud us ko ḳhayāl aa hī gayā
tū ne pherī laakh narmī se nazar
dil ke ā.īne meñ baal aa hī gayā
do mirī gustāḳh nazroñ ko sazā
phir vo nā-gufta savāl aa hī gayā
zindagī se laḌ na paayā josh-e-dil
rafta rafta e'tidāl aa hī gayā
husn kī ḳhalvat meñ darrātā huā
ishq kī dekho majāl aa hī gayā
ġham bhī hai ik parda-e-iz.hār-e-shauq
chhup ke aañsū meñ savāl aa hī gayā
vo ufuq par aa gayā mehr-e-shabāb
zindagī kā māh-o-sāl aa hī gayā
be-ḳhudī meñ kah chalā thā rāz-e-dil
vo to kahiye kuchh ḳhayāl aa hī gayā
ham na kar paa.e ḳhatā buzdil zamīr
le ke tasvīr-e-ma.āl aa hī gayā
ibtidā-e-ishq ko samjhe the khel
marne jiine kā savāl aa hī gayā
laakh chāhā ham na leñ ġham kā asar
ruḳh pe ik rañg-e-malāl aa hī gayā
bach ke jāoge kahāñ 'mullā' koī
haath meñ le kar gulāl aa hī gayā