Anand Narayan Mulla

junun ka daur hai kis kis ko jaen samjhane

Anand Narayan Mulla

Lucknow, Uttar pradesh, India

1901-1997
junūñ kā daur hai kis kis ko jaa.eñ samjhāne
udhar bhī hosh ke dushman idhar bhī dīvāne
karam karam hai to hai faiz-e-ām is kā shi.ār
ye dasht hai vo gulistāñ sahāb kyā jaane
kisī meñ dam nahīñ ahl-e-sitam se kuchh bhī kahe
sitam-zadoñ ko har ik aa rahā hai samjhāne
bashar ke zauq-e-parastish ne ḳhud kiye taḳhlīq
ḳhudā-o-ka.aba kahīñ aur kahīñ sanam-ḳhāne
ulajh ke rah ga.ī husn-e-naqāb meñ jo nazar
vo husn-e-jalva-e-zer-e-naqāb kyā jaane
is irtiqā-e-tamaddun ko kyā kahūñ 'mullā'
haiñ sham.eñ shoḳh-tar āvāra-tar haiñ parvāne
Top Urdushayar.com