rāz-e-hastī tishna-e-ta.abīr hai tere baġhair
zindagī taqsīr hī taqsīr hai tere baġhair
ziist kī har kāmyābī bhī mirī nazroñ meñ ḳhaak
ek be-buniyād sī ta.amīr hai tere baġhair
jis ko honā chāhiye thā tāza-dam kaliyoñ kā haar
vo nafas kā silsila zanjīr hai tere baġhair
haañ vahī lab jo tabassum kā ḳhazāna thā kabhī
aaj rehn-e-nāla-e-shab-gīr hai tere baġhair
dil kī hālat hai ki jaise ik tilism-e-be-kalīd
har tamannā harf-e-be-ta.abīr hai tere baġhair
ho nahīñ paatī koī āsān sī mushkil bhī sahl
kund sā har nāḳhun-e-tadbīr hai tere baġhair
chāñd barsātā hai jab rātoñ ko amrit kī phuvār
haañ usī kī har laḌī ik tiir hai tere baġhair
raushnī us ke kisī ruḳh par bhī aa paatī nahīñ
zindagī dhundlī sī ik tasvīr hai tere baġhair
aa agar begāna-e-ehsās terā dil nahīñ
terā 'mullā' ḳhasta-o-dil-gīr hai tere baġhair