Anand Narayan Mulla

mere jigar ki tab dekh ruKH ki shikastagi na dekh

Anand Narayan Mulla

Lucknow, Uttar pradesh, India

1901-1997
mire jigar kī taab dekh ruḳh kī shikastagī na dekh
fitrat-e-āshiqī samajh qismat-e-āshiqī na dekh
aur nazar vasī.a kar pesh-e-nigāh hī na dekh
maut meñ DhūñD zindagī ziist meñ nīstī na dekh
jaise har ik nafas nafas nok-e-sināñ liye hue
ishq kā ḳhvāb dekh le ishq kī zindagī na dekh
maiñ to sarā-e-shauq meñ dil kā kañval jalā chukā
ab ye tirī ḳhushī ki tū dekh ki raushnī na dekh
ek usuul yaad rakh sālik-e-rāh-e-zindagī
naqsh-o-nigār-e-dahr dekh muḌ ke magar kabhī na dekh
apnī nigāh pher le haañ ye mujhe qubūl hai
rakh mirī aarzū kī sharm-e-shauq kī bebasī na dekh
tujh pe ayaañ hai rāz-e-dil jaan ke bin na be-ḳhabar
ma.anī-e-ḳhāmushī samajh sūrat-e-ḳhāmushī na dekh
'mullā' ye kyā lagā liyā dil ko hañsī hañsī meñ rog
baat batā rahe the jo ho ke rahī vahī na dekh
Top Urdushayar.com