armāñ ko chhupāne se musībat meñ hai jaañ aur
sho.ale ko dabāte haiñ to uThtā hai dhuāñ aur
inkār kiye jaao isī taur se haañ aur
hoñToñ pe hai kuchh aur nigāhoñ se ayaañ aur
ḳhud tū ne baḌhā.ī hai ye tafrīq-e-jahāñ aur
tū ek magar ruup yahāñ aur vahāñ aur
dil meñ koī ġhuncha kabhī khilte nahīñ dekhā
is baaġh meñ kyā aa ke banā legī ḳhizāñ aur
itnā bhī mire ahd-e-vafā par na karo shak
haañ haañ maiñ samajhtā huuñ ki hai rasm-e-jahāñ aur
har lab pe tirā naam hai ik maiñ huuñ ki chup huuñ
duniyā kī zabāñ aur hai āshiq kī zabāñ aur
ab koī sadā merī sadā par nahīñ detā
āvāz-e-tarab aur thī āvāz-e-fuġhāñ aur
kuchh duur pe miltī haiñ hadeñ arz-o-samā kī
sahrā-e-talab meñ nahīñ manzil kā nishāñ aur
ik aah aur ik ashk pe hai qissa-e-dil ḳhatm
rakhtī nahīñ alfāz-e-mohabbat kī zabāñ aur
vo sub.h ke taare kī jhapakne sī lagī aañkh
kuchh der zarā dīda-e-anjum-nigarāñ aur
'mullā' vahī tum aur vahī kū-e-hasīnāñ
jaise kabhī duniyā meñ na thā koī javāñ aur