Anand Narayan Mulla

sar-e-mahshar yahi puchhunga KHuda se pahle

Anand Narayan Mulla

Lucknow, Uttar pradesh, India

1901-1997
sar-e-mahshar yahī pūchhūñgā ḳhudā se pahle
tū ne rokā bhī thā mujrim ko ḳhatā se pahle
ashk āñkhoñ meñ haiñ hoñToñ pe bukā se pahle
qāfla-e-ġham kā chalā bāñg-e-darā se pahle
ye to sach hai ki tujhe tark-e-jafā kā haq hai
haañ magar pūñchh to le ahl-e-vafā se pahle
uḌ gayā jaise yakāyak mire shānoñ par se
vo jo ik bojh thā taslīm-e-ḳhatā se pahle
haañ yahī dil jo kisī kā hai ab ā.īna-e-husn
ek patthar thā mohabbat kī jilā se pahle
aañkh jhapkā bhī to de dil ko churāne vaale
ik tabassum nigah-e-hosh-rubā se pahle
lazzat-e-zīst koī us ke muqābil kī nahīñ
vo jo ik kaif sā taarī hai ḳhatā se pahle
ibtidā hī se na de ziist mujhe dars us kā
aur bhī baab to haiñ bāb-e-razā se pahle
dar-e-mai-ḳhāna se aatī hai salā-e-tāza
aaj sairāb kiye jā.eñge pyāse pahle
rāz-e-mai-noshi-e-'mullā' huā ifshā varna
kyā vo mad-mast na thā laġhzish-e-pā se pahle
Top Urdushayar.com