duniyā hai ye kisī kā na is meñ qusūr thā
do dostoñ kā mil ke bichhaḌnā zarūr thā
us ke karam pe shak tujhe zāhid zarūr thā
varna tirā qusūr na karnā qusūr thā
tum duur jab talak the to naġhma bhī thā fuġhāñ
tum paas aa ga.e to alam bhī surūr thā
us ik nazar ke bazm meñ qisse bane hazār
utnā samajh sakā jise jitnā shu.ūr thā
ik dars thī kisī kī ye fankāri-e-nigāh
koī na zad meñ thā na koī zad se duur thā
bas dekhne hī meñ thiiñ nigāheñ kisī kī talḳh
shīrīñ sā ik payām bhī bainassutūr thā
piite to ham ne shaiḳh ko dekhā nahīñ magar
niklā jo mai-kade se to chehre pe nuur thā
'mullā' kā masjidoñ meñ to ham ne sunā na naam
zikr us kā mai-kadoñ meñ magar duur duur thā