Ahmad Tanvir

apni hi aawaz ke qad ke barabar ho gaya

Ahmad Tanvir

apnī hī āvāz ke qad ke barābar ho gayā
martaba insāñ kā phir bālā-o-bartar ho gayā
dil meñ dar aayā to misl-e-gul mo.attar ho gayā
mere sheroñ kā sarāpā jis kā paikar ho gayā
Dhalte sūraj ne diyā hai kitnī yādoñ ko faroġh
chāñd yuuñ ubhrā ki har zarra ujāgar ho gayā
ab to apne jism ke saa.e se bhī lagtā hai Dar
ghar se bāhar bhī nikalnā ab to dūbhar ho gayā
gūñjtā māhaul vahshī vāhime jañgal safar
uf ye kaalī raat jo merā muqaddar ho gayā
haa.e vo ik ashk jis kī koī manzil hī nahīñ
haa.e vo ik be-zabāñ jo ghar se be-ghar ho gayā
aap se ham kyā kaheñ shahr-e-nigārāñ kā mizāj
jo bhī is māhaul meñ aayā vo patthar ho gayā
kyā huiiñ fikr-o-tasavvur kī tire ra.anā.iyāñ
hādisa aisā bhī kyā 'tanvīr' tum par ho gayā
Top Urdushayar.com