na kar shumār ki har shai ginī nahīñ jaatī
ye zindagī hai hisāboñ se jī nahīñ jaatī
ye narm lahja ye rañgīni-e-bayāñ ye ḳhulūs
magar laḌā.ī to aise laḌī nahīñ jaatī
sulagte din meñ thī bāhar badan meñ shab ko rahī
bichhaḌ ke mujh se bas ik tīrgī nahīñ jaatī
naqāb Daal do jalte udaas sūraj par
andhere jism meñ kyuuñ raushnī nahīñ jaatī
har ek raah sulagte hue manāzir haiñ
magar ye baat kisī se kahī nahīñ jaatī
machalte paanī meñ ūñchā.ī kī talāsh fuzūl
pahāḌ par to koī bhī nadī nahīñ jaatī