Fazl Tabish

kali kali ka badan phoD kar jo nikla hai

Fazl Tabish

Bhopal, Madhya Pradesh, India

1933-1995
kalī kalī kā badan phoḌ kar jo niklā hai
vo zindagī kā nahīñ maut kā taqāzā hai
har ek jhūTā payambar hai ye bhī Thiik nahīñ
kahīñ kahīñ to magar sab ke saath ghaplā hai
maiñ us kā barf badan rauñdh kar pashemāñ huuñ
magar jo duur khaḌe haiñ unheñ vo sho.ala hai
jo thūktā hai har ek chiiz ko añdhere se
kabhī kabhī vahī din mujh meñ Duub jaatā hai
har ek samt ġhalāzat bhare samundar haiñ
magar ye maiñ ne kināre khaḌe hī samjhā hai
Top Urdushayar.com