in ā.ankhoñ meñ bin bole bhī mādar-zād taqāzā hai
ḳhvāhish ḳhvāhish bikne vaalā malbūsātī kiiḌā hai
us ke chāroñ or phireñ kyā us ke andar utreñ kyā
apne hī andar utarne kā kyā kuchh kam pachhtāvā hai
sannāTe kī dīvāroñ se sar Takrā kar mar jaao
chīḳhoñ kā zālim darvāza qad se kaafī ūñchā hai
galiyoñ galiyoñ ḳhaak uḌā lī har darvāza jhāñk aa.e
tab jā kar ye ḳhvāboñ jaisā dhuñdlā-pan haath aayā hai
kitne hī chāhe jismoñ kī lāsheñ manzar manzar haiñ
lekin an-gin ḳhushiyoñ kā bhī ā.ankhoñ hī se rishta hai