maiñ us ke ḳhvāb meñ kab jā ke dekh paayā huuñ
hai aur koī vahāñ par ki maiñ hī tanhā huuñ
tumheñ ḳhabar hai gharoñdoñ se khelte bachcho
maiñ tum meñ apnā gayā vaqt dekh letā huuñ
tum us kināre khaḌe ho bulā rahe ho mujhe
yaqīñ karo ki maiñ us or se hī aayā huuñ
vo apne gaañv se kal hī to shahr aayā hai
vo baat baat pe hañstā hai maiñ laraztā huuñ
vo kah rahe haiñ rivāyat kā ehtirām karo
maiñ apnī naash kī badbū se bhāgā phirtā huuñ
ravāyatan maiñ use chāñd kah to duuñ 'tābish'
kahīñ vo ye na samajh le ki maiñ banātā huuñ