is kamre meñ ḳhvāb rakhe the kaun yahāñ par aayā thā
gum-sum raushan-dāno bolo kyā tum ne kuchh dekhā thā
andhe ghar meñ har jānib se bad-rūhoñ kī yūrish thī
bijlī jalne se pahle tak vo sab thiiñ maiñ tanhā thā
mujh se chauthī bench ke uupar kal shab jo do saa.e the
jaane kyuuñ aisā lagtā hai ik tere saa.e sā thā
sūraj ūñchā ho kar mere āñgan meñ bhī aayā hai
pahle nīchā thā to ūñche mīnāroñ par baiThā thā
maazī kī niilī chhatrī par yādoñ ke añgāre the
ḳhvāhish ke piile pattoñ par girne kā Dar baiThā thā
dil ne ghanToñ kī dhaḌkan lamhoñ meñ puurī kar Daalī
vaise anjānī laḌkī ne bas kā Time pūchhā thā