use mālūm hai maiñ sar-phirā huuñ
magar ḳhush hai ki us ko chāhtā huuñ
ye bastī kab darindoñ se thī ḳhālī
maiñ phir bhī Thiik logoñ meñ rahā huuñ
jo chāhe vo mujhe be-dām le le
ḳharīdāroñ ke hāthoñ kam bikā huuñ
tirī chāhat bahāna hai yaqīñ kar
ba-har sūrat maiñ ḳhud ko chāhtā huuñ
zarā sun be-niyāz-e-lams sun le
maiñ tujh ko chhū ke ḳhud ko bhūltā huuñ
kahāñ toḌā hai maiñ ne shāḳh se gul
maiñ shāḳh-e-gul pe gul ko māntā huuñ