ḳhvāhishoñ ke hisār se niklo
jaltī saḌkoñ pe nañge paañv phiro
raat ko phir nigal gayā sūraj
shaam tak phir idhar udhar bhaTko
sharm peshāniyoñ pe baiThī hai
ghar se niklo to sar jhukā.e raho
māñgne se huā hai vo ḳhud-sar
kuchh dinoñ kuchh na maañg kar dekho
jis se milte ho kaam hotā hai
be-ġharaz bhī kabhī kisī se milo
dar-ba-dar ḳhaak uḌaa.ī hai din bhar
ghar bhī jaanā hai haath muñh dho lo