Nahid Akhtar Balooch

zulm chakkha ya be-hisi chakkhi

Nahid Akhtar Balooch

Dera Ismail khan, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1987
zulm chakkhā yā be-hisī chakkhī
kyā kabhī tum ne bebasī chakkhī
maut miltī rahī piyāla bhar
ek hī ghūñT zindagī chakkhī
chāñd jab shāḳh pe utar aayā
tab daraḳhtoñ ne chāñdnī chakkhī
rakh ke uñglī zabān par us kī
aaj thoḌī sī raushnī chakkhī
shahd kā zā.iqa to chakkhā hai
kyā kabhī aañkh sharbatī chakkhī
us kā lahja samā.atoñ meñ ghulā
jaise kānoñ ne shā.irī chakkhī
sāmne rakh ke chaa.e kī pyālī
chuskī chuskī tirī kamī chakkhī
aaj āñkhoñ ne us ko dekhā thā
aaj palkoñ ne phir namī chakkhī
chuum kar ik gulāb kā chehra
titliyoñ ne bhī dilkashī chakkhī
Top Urdushayar.com