utar kar pāniyoñ meñ chāñd mahv-e-raqs rahtā hai
mirī āñkhoñ meñ kuchh is taur koī shaḳhs rahtā hai
ajab hairat hai akasr dekhtā hai mere chehre ko
ye kis nā-āshnā kā aa.ine meñ aks rahtā hai
mirī bastī kā koī ghar bhī ghar jaisā nahīñ lagtā
kahīñ ta.amīr-e-bām-o-dar meñ koī naqs rahtā hai
jamī hai gard āñkhoñ meñ ka.ī gumnām barsoñ kī
mire andar na jaane kaun būḌhā shaḳhs rahtā hai
chalo bād-e-sabā ko jañgaloñ se DhūñDh kar laa.eñ
fasīl-e-shahr meñ 'az.har' balā kā habs rahtā hai