Azhar Naqvi

dar-pesh nahin naql-e-makani kai din se

Azhar Naqvi

dar-pesh nahīñ naql-e-makānī ka.ī din se
aa.ī na tabī.at meñ ravānī ka.ī din se
phir ret ke dariyā pe koī pyāsā musāfir
likhtā hai vahī ek kahānī ka.ī din se
dushman kā kināre pe baḌā saḳht hai pahrā
aayā na mire shahr meñ paanī ka.ī din se
sauñpe the kahāñ dhuup ke mausam ko ghane peḌ
maiñ DhūñDh rahā huuñ vo nishānī ka.ī din se
shāyad koī bhaTkā hai vahāñ qāfila 'az.har'
sahrā ne mirī ḳhaak na chhānī ka.ī din se
Top Urdushayar.com