nahīñ hai par koī imkān ho bhī saktā hai
vo ek shab mirā mehmān ho bhī saktā hai
ajab nahīñ ki bichhaḌne kā faisla kar le
agar ye dil hai to nādān ho bhī saktā hai
mohabbatoñ meñ to sūd-o-ziyāñ ko mat socho
mohabbatoñ meñ to nuqsān ho bhī saktā hai
bahut garāñ hai judā.ī magar jo honā ho
to phir ye faisla āsān ho bhī saktā hai
bas is ḳhabar se ki ye shahr hai hujūm sā kuchh
bas ik ḳhabar se ye vīrān ho bhī saktā hai