shahr gum-sum rāste sunsān ghar ḳhāmosh haiñ
kyā balā utrī hai kyuuñ dīvār-o-dar ḳhāmosh haiñ
vo khuleñ to ham se rāz-e-dasht-e-vahshat kuchh khule
lauT kar kuchh log aa.e haiñ magar ḳhāmosh haiñ
ho gayā ġharqāb sūraj aur phir ab us ke ba.ad
sāhiloñ par ret uḌtī hai bhañvar ḳhāmosh haiñ
manziloñ ke ḳhvāb de kar ham yahāñ laa.e ga.e
ab yahāñ tak aa ga.e to rāhbar ḳhāmosh haiñ
dukh safar kā hai ki apnoñ se bichhaḌ jaane kā ġham
kyā sabab hai vaqt-e-ruḳhsat ham-safar ḳhāmosh haiñ
kal shajar kī guftugū sunte the aur hairat meñ the
ab parinde bolte haiñ aur shajar ḳhāmosh haiñ
jab se 'az.har' ḳhāl-o-ḳhad kī baat logoñ meñ chalī
aa.ine chup-chāp haiñ ā.īna-gar ḳhāmosh haiñ