afsurdagī-e-dard-e-farāqat hai sahar tak
ye shaam to ik shām-e-qayāmat hai sahar tak
koī to añdheroñ meñ ujāloñ kā sabab ho
maanā ki charāġhoñ kī haqīqat hai sahar tak
ab ham pe jo aa.ī to kisī taur na guzrī
sunte the shab-e-ġham kī tavālat hai sahar tak
phir raakh bhī ho jaa.eñ to ho jaa.eñ balā se
āñkhoñ ke havāloñ kī zarūrat hai sahar tak
jis raat khulā mujh pe vo mahtāb kī sūrat
vo raat sitāroñ kī amānat hai sahar tak
sūraj pe hukūmat hai yahāñ dīda-varoñ kī
sīnoñ kī sulagne kī ijāzat hai sahar tak
gūñjegā har ik halqa-e-zanjīr-e-asīrāñ
ḳhāmoshī-e-zindāñ kī aziyyat hai sahar tak
ye raqs-e-balā sāz-e-junūñ-ḳhez pe 'az.har'
ye mahfil-e-hañgāma-e-vahshat hai sahar tak