kināroñ se judā hotā nahīñ tuġhyāniyoñ kā dukh
na.ī maujoñ meñ rahtā hai purāne pāniyoñ kā dukh
kahīñ muddat huī us ko gañvāyā thā magar ab tak
mirī āñkhoñ meñ hai un be-sar-o-sāmāniyoñ kā dukh
to kyā tū bhī mirī ujḌī huī bastī se guzrā hai
to kyā tū ne bhī dekhā hai mirī vīrāniyoñ kā dukh
shikast-e-ġham ke lamhoñ meñ jo ġham-ālūd ho jaa.eñ
zamīñ hāthoñ pe le letī hai un peshāniyoñ kā dukh
miyān-e-aks-o-ā.īna abhī kuchh gard baaqī hai
abhī pahchān meñ aayā nahīñ hairāniyoñ kā dukh
maiñ pahle DhūñDhtā huuñ ik zarā āsāniyāñ aur phir
baḌī mushkil meñ rakhtā hai mujhe āsāniyoñ kā dukh