Azhar Naqvi

rah gaya dida-e-pur-ab ka saman ho kar

Azhar Naqvi

rah gayā dīda-e-pur-āb kā sāmāñ ho kar
vo jo rahtā thā mire saath mirī jaañ ho kar
jaane kis shoḳh ke āñchal ne sharārat kī hai
chāñd phirtā hai sitāroñ meñ pareshāñ ho kar
āte-jāte hue dastak kā takalluf kaisā
apne ghar meñ bhī koī aatā hai mehmāñ ho kar
ab to mujh ko bhī nahīñ miltī mirī koī ḳhabar
kitnā gumnām huā huuñ maiñ numāyāñ ho kar
vo mire sahn meñ utre haiñ ujāle kahiye
shaam taktī hai dar-o-bām ko hairāñ ho kar
maiñ ne us shaḳhs se sīkhā hai takallum kā hunar
vo jo mahfil meñ bhī rahtā thā gurezāñ ho kar
ujḌī ujḌī sī havā ḳhāk-ba-sar aatī hai
shaam utrī hai kahīñ shām-e-ġharībāñ ho kar
ek hañgāma sā yādoñ kā hai dil meñ 'az.har'
kitnā ābād huā shahr ye vīrāñ ho kar
Top Urdushayar.com