Azhar Naqvi

koi aisi baat hai jis ke Dar se bahar rahte hain

Azhar Naqvi

koī aisī baat hai jis ke Dar se bāhar rahte haiñ
ham jo itnī raat ga.e tak ghar se bāhar rahte haiñ
patthar jaisī āñkhoñ meñ sūraj ke ḳhvāb lagāte haiñ
aur phir ham is ḳhvāb ke har manzar se bāhar rahte haiñ
jab tak rahte haiñ āñgan meñ hañgāme tanhā.ī ke
ḳhāmoshī ke saa.e bām-o-dar se bāhar rahte haiñ
jab se be-chehroñ kī bastī meñ chehre taqsīm hue
us din se ham ā.īnoñ ke ghar se bāhar rahte haiñ
jis kī ret pe naam likhe haiñ 'az.har' Dūbne vāloñ ke
vo sāhil maujoñ ke shor-o-shar se bāhar rahte haiñ
Top Urdushayar.com